Thursday, 27 July 2006

Gumnaam Pal

 Kuch pal, adhure se, rahon mein bikhre hue.

Ek zindagi hain khokhli si, thaki hui.

Ek yaad hai, simti hui,

Dhundli hoti kuch tasveerein hain.

Ek shakhs hai apna sa ya shayad paraya,

Chalawa hai shayad wo, ya ek pyaas.

Ek mrigmarichika hai hasraton ka,

Saahil hai ya ek khwab.


Ye kaisi khamoshi hai, anant.

Ye kaisa pashopesh hai, aahon ka.

Sanson ka ye shor hai,

Pahar dar pahar maddhim hota

Khota hua, ek aanshu ki tarah

Palkon par kahin thehra

Gumnaam sa, akela, haara hua....


No comments: