Shaayad maine kabhi nahi socha tha,
Ki itne saalon ke baad bhi,
tumhari yaadein yun mere zehan mein basi
rahengi
Shayad tumne bhi ye socha na hoga.
Har ek lamha, har ek yaadein,
Har ek aahon ne ehsaas dilaaya tumhara,
Yun wo lamhe, yaadein aur aahein
tadpayengi mujhe
Shayad tumne ye socha na hoga.
Bikhri hastratein, hamari tanhaiyan
Tute hue khwab, tumhari parchaiyan,
Haq pyar ka itna hi hamara hoga,
Shayad tumne ye socha na hoga.
Ek yaad tadpa jaaye,
Ek lamha rula jaaye,
Ateet se nikalkar, in tanhaiyon mein,
Shayad tumne ye socha na hoga.
Par aaj itne saalon baad,
Main sochta hun ki tum mujhe kyon nahin
mile,
To ye sawaal uthta hai zehan mein,
Kya tumne bhi kabhi mere baare mein socha
hoga?
21-01-2003
No comments:
Post a Comment