Saturday, 20 August 2022

Adhura sahi apna hai

Lahron par ruki 

Ek ummeed,

Palkon par kaanpta

Ek khaab,

Lamho mein Simti

Ye zindagi..

Adhoore par, Saath hain


Jo Pura ho 

Wahi pyar nahi hota,

Jo adhura hai

Wo bhi apna hai ....

Hakikat na sahi

Khoobsurat ek sapna hai


Jitna mila hai

Kismet se

Shukraguzaar hain

Aapki us Mauzudgi ka

Hakikat nahi, sapna hai

Adhoora hi sahi, apna hai.... 


23:21     20 Aug 2022


No comments: