Saturday, 20 August 2022

Extempore in Hindi


aye raat thahar jaa aaj,

in palkon mein kaid kar lun mein unka chehra

us hansi ko sama lun apni saanson mein

ye 'zindagi' na jaane phir kab mile mujhe


agar wo yaadein kho gayi to,

ek ateet gum ho jaayega ehsaason ka

hum mein hi kahi dabi reh jaayegi,

ek duniya armaano ki, bikhri hui, khaamosh.


ye aashiyan pyar ka, wo aandhi zazbaaton ki

ye sahar ishq ka,

jeete hue ek dusre ko,

khamoshiyon ki awaaz mein gum.


Bikhri hui yaadon ke shazar mein

Raat ke palkon pe thahri wo aus ki boond

Ehsaas dila rahi aapki mauzidagi ka.

Lamho mein, Shor mein, Khamoshiyon mein...


8 March 2006 to 20 Aug 2022



No comments: